Tuesday, September 28, 2004

Mood before the meet

From: Vivek Sharma [mailto:b03121@astra.xlri.ac.in]

Subject: [grax] The mood before the meet







Hi All,



A poem here written by Avijit Shastri (Batch of 2006) sums up the enthu in the junior batch as well.



This was written just before the meet started:



HO JAO TAIYYAR KE...



Mess ke khane se jo log pareshan hue ja rahe hain

"Change in taste" ka nara jo log buland karva rahe hain

unke liye hum ek khushkhabri la rahe hain

ho jao taiyyar, ke calcutta se dhai sau rasgulle a rahe hain



in rasgullo ko khane ka alag tareeka apnana hai

inko pahle poora nichodna hai phir khana hai

ye nichodne ka bad jyada tasty lagenge,hum pakki bat bata rahe hain ho jao taiyyar , ke calcutta se dhai sau rasgulle a rahe hain



is feast ki tayyari ka charcha calcutta tak ja chuka hai

jan gaye hain ve ki dinner ke menu me unka nam a chuka hai

a rahe hain rat andhere, ke din me ane se ghabra rahe hain

ho jao taiyyar , ke calcutta se dhai sau rasgulle a rahe hain



vishvast sootron se humne ye khabar payi hai

ki unhone ne ek chussu kism ki T - shirt banvai hai

khane wala changing aur rasgulla constant hi rahta hai, ye nayi bat kya bata rahe hain ho jao taiyyar , ke calcutta se dhai sau rasgulle a rahe hain



is feast me kuchh log aham bhoomika nibhaenge

ye wo hai jo unhe nichod ke khane layak banaenge

bakiyo ko zor shor se inka hausla badhana hai

zindagi me pehli bar 6 baje ka alarm lagana hai

a gaya hai samay,ke unhe "jhukne aur na chillane"ke adesh jari kiye ja rahe hain ho jao taiyyar , ke calcutta se dhai sau rasgulle a rahe hain



- AVIJIT







No comments:

Post a Comment